Tuesday, October 27, 2009

युवा पीढी के बारे में एक विचार

kabhi-kabhi sochati hu kya hamari yuva peedi aalsi ho gayee hai?kya unme apane se bado ke liye samman ki bhavana khatm ho rahi hai?kuchh aise hi udaharano se aaye din do-char hoti hu,ek library mein kuchh ladakiyan khadi hai ,unhe upar vale shelf se kuchh pustake chahiye.vo intazar karti hai library assistent ka .par vo vyast hai ,unki madam aa kar poochhati hai koun si pustak chahiye?aur vo upar ke shelf ki aur ishara kar deti hai. madam table par chad kar pustak nikalati hai ,par un ladakiyon ko koi shikan nahi hoti.isi tarah ke udaharano se rozana hi do-char hoti hu.lagata hai aaj ki yuva peedi bahut practical ho gayee hai.badon ke liye samman hai par vo unki jarurat ke hisab se ghatata badata hai.jisse jaroorat padane vaali ho uska bhar- poor samman karo aur jab jaroorat nikal jaye chuppi saadh lo.aaj kal ke bachche samay se pahale hi duniyadari seekh rahe hai.unme naisargik bholapan khatm ho raha hai. iske liye kai karan jimmedar hai,doosron ko kya dosh de shayad hum hi unhe uchit mahol nahi de paa rahe hai.par jo bhi ho in karno par vichar karna hi hoga taki isi yuva peedi ko ek swasth samaj diya ja sake.
kavita

5 comments:

  1. sachey pyar ke sthan par jab jhoothi ijjat ko sir par chada kar rakha jata hai tab yahi hota hai...yuva peedi ka koi dosh nahin .. ye ijjat vjjat ki batein gulamipasnd dour ke logon ki batein hain..naye dour mein to jitna pyar doge usse badkar vapas milta hai..pyar mile to ijjat ko kon poochhey..sarvgyta ka dambh pichhad deta hai jaise yeh apna desh bharat...badon mein bhi chhoton se seekhne ki vinamrta chahiye..

    ReplyDelete
    Replies
    1. Apki kathni battamizi ka ek or bada udhharan h ... maata pita se zyada behtar koi nahi janta ki kis pyr s apko ghatak khatra hoga or kon sa pyar apke liye yogye h... bachpan se aj tak ap un maata pita k nahi hue jinhone apko janm diya ..to ap or kisi k kya honge.. un mata oita ka pyar apko nahi dikha jinhone shayd apke liye apni hasti mita di.. 2 din ki ayi hui ladki apke liye apke maata pita se badkar ho gyi... lanat h ap jesi soch walo pr.. or ek bat yad rakhna aj tum jo bhi dharna apne bado k liye liye hue ho sirf or sirf us waqti toor k pyr k base or ,ek din wahi pyr tumhe dhokha dega or tab bhi tumhare mata pita hi tumhe sambhalinge

      Delete
    2. Apki kathni battamizi ka ek or bada udhharan h ... maata pita se zyada behtar koi nahi janta ki kis pyr s apko ghatak khatra hoga or kon sa pyar apke liye yogye h... bachpan se aj tak ap un maata pita k nahi hue jinhone apko janm diya ..to ap or kisi k kya honge.. un mata oita ka pyar apko nahi dikha jinhone shayd apke liye apni hasti mita di.. 2 din ki ayi hui ladki apke liye apke maata pita se badkar ho gyi... lanat h ap jesi soch walo pr.. or ek bat yad rakhna aj tum jo bhi dharna apne bado k liye liye hue ho sirf or sirf us waqti toor k pyr k base or ,ek din wahi pyr tumhe dhokha dega or tab bhi tumhare mata pita hi tumhe sambhalinge

      Delete
    3. This comment has been removed by the author.

      Delete
  2. I miss reading your blog in Hindi.

    Nice thoughts. Several layers/level of self analysis may reveal some common traits/weaknesses of human kind and society.

    Knowing so much about not knowing much makes it hard to be able to write any further.

    ReplyDelete

आपकी टिप्पणियाँ हमारा उत्साह बढाती है।
सार्थक टिप्पणियों का सदा स्वागत रहेगा॥

नर्मदे हर

 बेटियों की शादी के बाद से देव धोक लगातार चल रहा है। आते-जाते रास्ते में किसी मंदिर जाते न जाने कब किस किस के सामने बेटियों के सुंदर सुखद जी...